ГлавнаяИсполнителиНеизвестенLoot le dil bich mehfil, hum toh aise hai beimaan
название:

Loot le dil bich mehfil, hum toh aise hai beimaan


автор:

Неизвестен


рейтинг: ★★★★★ / 4.7 / 656 просмотров
Loot le dil bich mehfil, hum toh aise hai beimaan
 Meri ek ada shola, meri ek ada shabnam
 Meri aankhon mein hai hardam harpal hai ik tufaan
 Abhi dur se hai dekha, kabhi paas mere toh aa
 Phir dekh mera jalwa, koyi mujhasa hai kahaan
 
 Yaaron ki mehfil mein yaar aaye hain
 Dil ko churaane dildaar aaye hain
 Mauka hai ik pal hai palbhar ka sama
 Iss pal mein ban jaaye koyi daastaan
 Loot le dil bich mehfil, hum toh aise hai beimaan
 Meri ek ada shola, meri ek ada shabnam
 Meri aankhon mein hai hardam harpal hai ik tufaan
 
 (Ishq bin jina hai kya, ishq bin marna hai kya
 Ishq hi toh haqiqat hai, ishq bin marna hai kya) - (2)
 Ishq sab hai, ishq rab hai, ishq hai mera khuda
 Meri ek ada shola, meri ek ada shabnam
 Meri aankhon mein hai hardam, harpal hai ik tufaan
 
 Haadasa aisa ek ho gaya hai yahaan
 Jo hai anjaan honge woh yuun hairaan
 Aankh se jaise kaajal churaale koyi
 Aur badale mein bas ek duwa de koyi, haan duwa de koyi
 Khush raho, khush raho -2 rab karam yeh kare
 Jo ho apane tumhaare na woh ghum kare
 Na paraaya koyi aaankh ko num kare
 Ho sake toh jara tum bhi kar lo duwa
 Tum bhi kar lo duwa ho sake toh jara
 Woh mile jisake haathon mein meri jaan hai
 Hamne ki duwa, lo yeh ki duwa, hamne ki duwa hai
 Haath yuun utha sar bhai hai jhuka, hamne yuun duwa hai
 Mohabbat sabne ki hogi, ishq bin jina hai kya
 Moahabbat apani alag hai, ishq bin marna hai kya
 Main kya kya kar jaayunga, yeh toh bas ek jhalak hai
 Ishq bin marna hai kya
 Loot lu dil bich mehfil, bachake jaayega tu kahaan
 Tufaan utha dunga, main jaan laga dunga
 Tu hai ke meri pehchaan mita dunga
 Abhi dur se hai dekha, kabhi paas mere tu aa
 Phir dekh mera jalwa, koyi mujhsa hai kahaan

Послушать/Cкачать эту песню
Mp3 320kbps на стороннем сайте
А как ты думаешь, о чем песня "Loot le dil bich mehfil, hum toh aise hai beimaan" ?
2010-2020 © WebKind.Ru Тексты песен