TOP песен исполнителя
"Nusrat Fateh Ali Khan"
    TOP альбомов исполнителя
    "Nusrat Fateh Ali Khan"
      название:

      Aisa Banna Sawarna Mubarak


      автор:

      Nusrat Fateh Ali Khan


      жанры: qawwali, world, world music
      рейтинг: ★★★★★ / 4.8 / 751 просмотр
      Aisa Banna Sawarna Mubarak Tumhein
      Kam Say Kam Itna Kehna Hamara Karo
      
      Aisa Banna Sawarna, Un Ka Banna Sawarna
      Woh Kia Sawar Ga'ay Meri Qismat Sawar Gayi
      Un Ka Banna Sawarna Aisa Banna Sawarna
      
      Woh Agar Bun Sawar Ga'ay Hoon [bad word] 
      Daikhnay Walay Mar Ga'ay Hoon [bad word] 
      Un Ka Banna Sawarna Aisa Banna Sawarna
      
      Hazaaroon Wadae Shab Us Nay Is Sorat Say Palay Hein
      Kabhi Mehndi Lagayi Hai Kabhi Gayso Sambhalay Hein
      Un Ka Banna Sawarna Aisa Banna Sawarna
      
      Mareezon Ka Dam Aankhon Mein Hai Woh Hai Mehv-E-Araish
      Wahaan Hoonton Ki Lali Hai Yahaan Jaanon K Lalay Hein
      Un Ka Banna Sawarna Aisa Banna Sawarna
      
      Hazaroon Faryaad Kar Rahay Hein Magar Kisi Per Nazar Nahi Hai
      Woh Mehv Hein Aaine Mein Aisay K Un Ko Apni Khabar Nahi Hai
      Un Ka Banna Sawarna Aisa Banna Sawarna
      
      Aainay Mein Har Ada Ko Daikh Ker Kehte Hein Wo
      Aaj Yeh Daikhein [bad word] Hum Kiss Kiss Ki Aayi Howi
      Un Ka Banna Sawarna Aisa Banna Sawarna
      
      Sajne Ke Waqt Yeh Bhi Zara Daikhte Nahi
      Aa'ina Daikha Hai Unhein Kiss Nigaah Say
      Un Ka Banna Sawarna Aisa Banna Sawarna
      
      Unhein Aaraish-E-Gesu Say Matlab
      Koi Deewana Ho Ja'ay Bala Say
      Un Ka Banna Sawarna Aisa Banna Sawarna
      
      Aisa Banna Sawarna Mubarak Tumhein, Kam Say Kam Itna Kehna Hamara Karo
      Chaand Sharmaye Ga Chaandni Raat Mein, Yoon Na Zulfon Ko Apni Sanwara Karo
      
      Yeh Tabassum Yeh Aariz Yeh (Roshan Jabeen)? Bhi, Yeh Ada Yeh Nigahein Yeh Zulfen Haseen
      Aa'ine Ki Nazar Lag Na Jaye Kaheen, Jaan-E-Jan Apna Sadqa Utara Karo
      
      Dil To Kia Cheez Hai Jaan Say Jain [bad word]  Mout Aanay Say Pehle He Mar Jain [bad word] 
      Yeh Ada Daikhne Walay Lut Jain [bad word]  Yoon Na Hans Hans Ke Dilbar Ishara Karo
      Kya Qayamat Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat
      
      Her Ada Mastana Sir Say Paoon Tak Chaayi Howi
      Uff Teri Kaafir Jawani Josh Per Aai Howi
      Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat
      
      Bismil? Ka Khuda Hafiz, Qatil Ka Khuda Hafiz
      Tum [bad word] Dil Per Nazar Daalo Us Dil Ka Khuda Kafiz
      Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat
      
      Andaaz Apne Daikhte Hein Aa'ine Mein Woh
      Aur Yeh Bhi Daikhte Hein Koi Daikhta Na Ho
      Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat
      
      Dil Churanay Ki Ada Khaas Hoa Karti Hai
      Daikh Letay Hein Woh Guzdeeda Nazar Say
      Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat
      
      Zara Un Ki Shokhi To Daikhiyeh Liyeh Zulf-E-KhamShuda Haath Mei
      Mere Paas Akay Dabay Dabay Mujhe Saanp Keh Ke Dara Dia
      Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat
      
      Dil Mera Lay Ker Yeh Zalim Ne Kaha
      Jao Rasta Lo... Tumhara Kuch Nahi
      Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat
      
      Angari Le Ke Us Ne Mujh Per Khumaar Dala
      Zalim Ki Is Ada Ne Bus Mujh Ko Mar Dala
      Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat
      
      Angari Bhi Wo Lene Na Paye Utha Ke Haath
      Daikha Mujhe To Chor Diyeh Muskara Ke Haath
      Kya Qayamat! Yeh Ada Hai Yeh Ada Kya Qayamat
      
      Yeh Ada Daikhne Walay Lut Jain [bad word] 
      Yoon Na Hans Hans Ke Dilbar Ishara Karo
      
      Fikr-E-Uqba Ki Masti Utar Ja'ay Gi Tauba Tooti To Qismat Sanwar Ja'ay Gi
      Tum Ko Dunya Mein Jannat Nazar Aa'ay Gi Shaikh Ji Mai-Kade Ka Nazara Karo
      
      Kaam Aa'ay Na Mushkil Mein Koi Yahaan, Matlabi Dost Hein Matlabi Yaar Hein
      Is Jahan Mein Nahi Koi Ehl-E-Wafa, Ey Fana Is Jahan Say Kinara Karo
      
      Aisa Banna Sanwarna Mubarak Tumhein Kam Se Kam Itna Kehna Hamara Karo..

      Послушать/Cкачать эту песню
      Mp3 320kbps на стороннем сайте
      Это интересно: Нусрат Фатех Али Хан, нечеловечески популярный и в Индии и Пакистане, сделал много шагов для примирения индийского и пакистанского народов. Дуэт с Эдди Веддером принёс ему симпатии потребителей американского альтернативного рока, Нусрат Фатех Али Хан совершал турне по рок-клубам, акустика которых, кстати, совершенно не приспособлена для такого рода музыки. Транс-, эмбиент-... подробнее
      А как ты думаешь, о чем песня "Aisa Banna Sawarna Mubarak" ?
      2010-2020 © WebKind.Ru Тексты песен